Newsflash
Are you crazy about an artist and would like to highlight their work? Do you feel your life would have been incomplete without listening to some artists and songs? Do some songs make you fall in love with them to such an extent that they never leave you? If your answer to any or all of these questions is yes and would like to contribute to this site, just drop us a message from the site homepage to join us.
|
| IBN7 Voice of India Lata Mangeshkar |
|
|
|
| Written by Sounak Gupta |
|
(Thanks to Sujoy for transcripting the programme)
IBN7: IBN7 ke is Khaas 'show' mein aapka swaagat hai, main Rajeev Masant. ek aisi aawaaz jisne 6 dashakon tak sangeet ki duniya ko nawaaza hai, woh jisne duniya bhar ke logon ko kabhi hansaaya, to kabhi rulaaya hai, jise sunkar kabhi pradhaan mantri ki aankhon mein aansoo aa gaye to kabhi sarhad par jawaanon ko hauslaa milaa, woh aawaaz hai desh ki aawaaz, yaani ki 'Voice of India', yaani ki mahaan gaayika Lata Mangeshkar. Lataji, namashkaar, bahut bahut swaagat hai aapka, dhanyavaad aapka ki aap hamaare 'studio' mein aayeen, dhanyavaad.
Lata: baDi kripaa hai aapki, dhanyavaad.
IBN7: didi, is saal ham apne swatantrata ke 60 saal poore kar rahe hain, in saalon mein bahut kuchh badlaa hai, 'composers' aaye hain, gaye hain, bahut saara samay beeta hai, logon ke 'taste' badal chuke hain, in sabhi saalon mein, agar kuchh 'constant' raha hai to woh sirf Lata Mangeshkar aur Lata Mangeshkar ki aawaaz. aapne apni aawaaz ko, apni gaayiki ko, kis tarah se 'adapt' kiya, logon ke 'taste' ko dhyaan mein rakhte huye, yaa phir badalte samay ke saath?
Lata: sabse pehle to main yeh kahoongi ki yeh aawaaz, yeh bhagwaan ki den hai, aur bhagwaan ki den hai, mere maata pitaa ka aashirvaad hai, logon ka aashirvaad hai ki abhi tak meri aawaaz Thik hai aur main gaa sakti hoon. ab badlaav to aata hi rehta hai, aur jo ham logon ne 40s mein shuru kiya hai kaam, us waqt jo 'music' tha, woh badalta raha, badalta raha, aur aaj jaake 'music' ka ek alag hi, yeh ho gaya hai. 'music' abhi waisa 'music' naheen raha jaise pehle kabhi tha, matlab, 60s aur 70s mein tha.
IBN7: jise ham 'golden era' kehte hain
Lata: jee, woh ab utna sunne ko naheen milta hai. to uske saath maine apne aap ko Dhaala, jaise matlab, badalte samay mein bhi maine gaane ki koshish kee.
IBN7: didi, aapne bhajan gaaye hain, Gazal gaaye hain, 'patriotic songs', lekin shaayad sabse 'popular', 'the most popular' shaayad Hndi gaane rahe hain, Hindi filmi gaane rahe hain? yeh aap maanengee?
Lata: jee haan, filmi gaane rahe, kyunki alag alag 'music directors' ke gaane aaye, alag alag filmen banee, aur us wajah se logon ko jo alag alag 'music' aayi, woh unko achchha lagaa, aur 'popular' raha ismein koi shaq naheen.
IBN7: aap Madhubala se lekar shaayad Kareena Kapoor tak aapne sabhi 'actresses' ke liye aapne gaaya hai, itni 'actresses' ko apni aawaaz dee hai, shaayad aapki sabse pehli 'hit' gaano mein se thi Madhubala ke liye jo aapne gaana gaaya, 1949 ki film Mahal, "aayega aanewaala".
Lata: jee haan, "aayega aanewaala".
IBN7: ham aapko phir se 'flashback' mein lekar jaate hain aur isi gaane ki ek jhalak dikhaate hain.
IBN7: yeh gaana aapke sabse pasandida gaano mein se ek hai, ab bhi aap wahi maantee hain?
Lata: jee haan, main wahi maantee hoon, yeh gaana mujhe bahut achchha lagtaa hai, yeh gaana jab maine 'record' kiya tha, to aap soch naheen sakte kaise 'record' huya tha! ki mujhe iska pehla jo sher aata hai, to us sher ke waqt kya huya ki unhone kahaa ki ham logon ko aise chaahiye ki door se aawaaz aati hai. tab 'recording' mein itna yeh naheen tha jo aaj hai. aaj kuchh bhi 'record' ho sakta hai.
IBN7: bilkul, aaj ki 'technology' bilkul alag hai.
Lata: to mujhe samajh naheen aaya, yahaan 'microphone' hai aur mujhe khaDaa kiya wahaan door, aur wahaan pe maine gaana shuru kiya, aur gaate huye main aahista aahista aahista chal ke aayi aur jahaan "aayega aanewaala" aata hai, wahaan main 'mike' ke paas aake "aayega aanewaala" gaaya. to yeh mera Khayaal hai ki kareeb 20-25 martabaa mujhe karna paDaa ki main wahaan se chalke aati thi aur gaati thi. unhone kahaaki 'naheen naheen naheen, abhi woh Theek naheen huya hai, phir se karo'.
IBN7: to kitne 'take' huye us gaane ki?
Lata: gaane ke 'take' to mere khayaal se, us waqt aisa hota tha ki kabhi 20, kabhi 22, kabhi 28.
IBN7: to gaane ke saath thoDi 'exercise' bhi ho jaaya karti thi.
Lata: 'exercise' bhi hoti thi, andar se ek Dar bhi tha kyunki baraabar us 'last line' pe wahaan pahunchna bhi hai aur gaate huye chalna mushkil kaam hai. matlab mujhe naheen aata hai, khaDaa hoke gaayun to main gaa sakti hoon, par chalke gaayun yeh thoDaa mushkil tha. mujhe karna paDaa aur isiliye woh gaana yaad raha.
IBN7: aamtaur pe kahaa jaata hai ki gaanewaale kalaakaar ka jo vyaktitva hota hai, uska swabhaav uske gaane mein pratibimbit hotaa hai aur uska uske gaane ke 'performance' pe thoDaa asar to hota hi hai. is baare mein aapki kya raay hai?
Lata: mera raay yahi hai ki yeh kehna sahee hai, kyunki insaan jo hotaa hai, uske andar jo jo bhaavnaaen hoti hain, woh uske 'music' mein zaroor nazar aati hain. main jab gaati hoon to, matlab, aise gaane mere paas pehle aaya karte the jo matlab, thoDE 'cheap type' ke gaane vagerah, to main saaf kehti thi ki main gaayungi naheen, to yeh andar jo hota hai aadmi ka sochna uske 'music' pe zaroor asar karta hai.
IBN7: didi, aapne shaayad sabhi 'top' ke 'music composers' ke saath kaam kiya, Shankar Jaikishan ho, S D Burman saahab, Naushad saahab, C Ramchandra, Hemant Kumar, sabhi ke saath aapne kaam kiya. ab aap in sabhi ki 'favourite' theen, is wajah se unke beech thoDi 'professional rivalry' yaa 'jealousy' naheen thi ki aap sabhi ke saath kaam karti theen?
Lata: (Laughs) yeh kehna mushkil hai kyunki itna dhyaan dene ke liye mere paas waqt naheen tha.
IBN7: bahut 'busy' theen un dino? bahut saara kaam...
Lata: bahut zyaada, kyunki saare kaam mere paas hi the, zyaadatar mere paas kaam hote the, aur yeh sab sochne ka mujhe 'time' bhi naheen milta tha. aur doosri baat main aapko baat bataayun ki mera 'nature' aisa hai ki main in baaton par dhyaan naheen deti hoon. agar kisi ko dukh hai mere se, to yeh uski, mujhe achchha naheen lagega. aur agar log mujhse khush hai to main khush hoon. aur maine kabhi is baat pe shyaan naheen diya.
IBN7: baaki jo gaayikaaen hoti theen, woh kabhi jaltee theen, kyunki poora kaam to aap hi ke paas tha?
Lata: (Laughs loudly) jaltee hongi par mere saamne to kisi ne naheen kahaa.
IBN7: to aapke sabse 'favourite composer' us waqt kaun the?
Lata: aisa kuchh naheen tha, main aapko ek baat bataayun, sabse achchhi baat us waqt yeh thi ki har 'music director' ka apna alag 'style' tha. isiliye har 'music director' ke liye gaate huye hamein ek alag aanand miltaa tha, ki inki yeh 'style' hai, Salil Choudhury ki yeh 'style' hai, Shankar Jaikishan ka ek alag 'style' hai.
IBN7: Shankar Jaikishan ke liye aapne bahut saare gaane gaaye, Khaaskar Raj Kapoor ki filmon ke liye.
Lata: jee haan
IBN7: ek aisi film thi Shree 420, iska yeh gaana bahut mashoor huya "ichak daana beechak daana", aayiye woh dikhaate hain aapko.
IBN7: iske baad aaya 60 ka dashak jismein shaayad aapko behatareen gaane mile, Guide, Dil Apna Aur Preet Paraayi, Bandini, aise kai saare gaane the aur Laxmikant Pyarelal ke saath jaise aapki 'partnership' shuru huyi, aapne unke saath jaise Parasmani, Dosti, Milan, bahut saari filmen kee. kis tarah ke 'memories' hain?
Lata: Laxmikant Pyarelal ki 'memories' to yeh hai ki chhoTe chhoTe bachche the aur mere ghar aate the. wahaan aake, mere bhaai ne ek chhoTa 'group' tayyaar kiya tha Surel Baal Kala Kendra, jismein woh log bajaaya karte the, mera bhaai gaata tha, meri bahen gaati thi, aur inke 'programme' hote the. to yeh dono bachche mere saath aate the. ab pehli martaba main Laxmikant aur uske bhaai ko Shankar Jaikishan ke yahaan le gayi main, aur maine kahaa ki 'yeh mandolin bahut achchha bajaata hai, isko aap rakhiye'. wahaan se 'mandolin' bajaana shuru kiya usne, Laxmikant. Pyarelal ka kya tha, Pyarelal bhahut achchhe 'musician ka beTaa tha, aur violin seekhta tha unse. bahut chhoTa tha, itne chhoTe bachche, aapko yakeen naheen hogaa itne chhoTe chhoTe bachche dono, aate the, khaana saath mein khaate the, main kahin jaayun to mere saath aate the, aur jab maine ek din suna, mujhse aake kahaa ki 'ham log 'picture' kar rahe hain', to mujhe baDaa taajjub huya, maine kahaa 'achchha, yeh to baDi Khushi ki baat hai', kehne lage 'aapko pehla gaana gaana paDegaa', maine kahaa 'zaroor gaayungi main', pehlaa gaana jab unhone 'record' kiya, mujhe abhi tak yaad hai 101 rupay ka 'cheque' unhone apni taraf se mujhe laake diya, aur kaha ki 'aapko ham hamaari taraf se de rahe hain'. matlab, ek pyaar tha usmein, aur is tarah se woh 'music director' bane.
IBN7: 60 ke dashak ki baat kar rahe haint o ek film hai jise ham 'ignore' naheen kar sakte, Mughal-e-Azam. woh ek gaana, jo aaj bhi logon ko utna hi 'haunting feeling' detaa hai, log kehte hain 'rongTe khaDe ho jaate hain, us gaane ko sunkar, "pyaar kiya to Darna kya". gaana bahut hi 'legendary' hai, kehte hain Naushad saahab ne aapko 'bathroom' mein woh gaana gawaaya, bataaiye kya woh sahee hai?
Lata: naheen, 'bathroom' mein naheen gawaaya tha... (The entire audience, along with Lata, bursts into laughter) woh gaana, woh gaana jab hamne 'record' kiya, 'last line' unko 'repeat' karni thi
IBN7: 'echo effect' ke liye
Lata: 'echo effect' ke liye, par 'echo effect' tab aise naheen aata tha
IBN7: 'machine' se naheen aata tha.
Lata: haan, to mujhe unhone doosre kamre mein khaDaa kiya tha, aur wahaan se maine gaaya, thoDaa nazdeek jaake gaaya, matlab, wahi phir 'circus' hi chalta raha, yahaan se wahaan, wahaan se wahaan. is tarah se unhone 'record' kiya.
IBN7: 'bathroom' kabhi naheen tha
Lata: naheen, 'bathroom' kabhi naheen tha. (The entire audience, along with Lata, bursts into laughter)
IBN7: aayiye dekhte hain woh gaana Mughal-e-Azam film ka.
IBN7: Hindi cinema ki sabse 'romantic film', sabse 'romantic' gaana, aur aap hi ko yeh shrey milta hai, 'credit' milti hai, kyaa aap maantee hain isko sabse 'romantic' gaana?
Lata: kaun sa gaana?
IBN7: yahi, Mughal-e-Azam ka?
Lata: jee haan, main maantee hoon. aur main 'credit' lene ke liye tayyaar hoon (laughs). (The entire audience bursts into laughter).
IBN7: 1962 mein aapne "aye mere watan ke logon" 'record' kiya. woh ek 'tribute' tha un 'soldiers' ke liye jo shaheed huye Indo-China War mein. woh ek aisa geet hai jaisa, aaj bhi shaayad aap jahaan jaati hain, log aapko wohi gaana gaane ki 'request' karte hain. to aap kamein bataaen ki hamaare 'late' Prime Minister Pandit Jawaharlal Nehru ko yeh gaana sunkar unke aankhon mein aansoo aaye, thoDaa us gaane ke baare mein bataaiye.
Lata: dekhiye woh to, sab kharaab hi tha, matlab, sab dukhi the, 'programme' karne ke liye ham log Dilli gaye the aur Dilli mein Prime Minister baiThe huye the, Jawaharlalji. aur Indiraji bhi theen, aur gaana jaise maine gaana shuru kiya, ab main aapko sachchi baat bataati hoon, mujhe naheen maaloom tha ki yeh gaana unko itnaa achchha lagega. maine apni taraf se gaaya, aur gaana unko itna achchha lagegaa ki unke aankhon mein aansoo aa jaayenge yeh maine naheen sochaa tha. main gaana gaake andar jaake baiThee, to Mehboob Khan, jo 'director' the, woh, unki aawaaz maine sunee ki 'Lata kahaan hai, Lata kahaan hai?' to maine kahaa ki 'main yahaan baiThee hoon Mehboob saahab!' to kehne lage ki 'chalo chalo, tumko Jawaharlalji bulaa rahe hain'. maine kahaa ki 'mujhe kyun bulaa rahe hain?' unhone kahaa 'chalo to sahee'. phir woh mera haath pakaDkar kheenchkar Panditji ke paas leke gaye aur kaha ki 'Panditji, main Lata ko leke aaya hoon'. Panditji ne mujhse bas itna hi kaha ki 'beTee, tumne mujhe aaj rulaa diya'. phir uske baad woh baiThe naheen, turant ekdam se uThkar chale gaye. jaate waqt kahaa ki 'shaam ko ghar par milenge'. unhone saare kalaakaaron ko ghar pe bulaaya tha. lekin main ruk naheen paayi, kyunki meri bahen ki shaadi thi. to Bambai pahunchkar sunaa ki saare shaher mein yeh Khabar fail chukee thi ki 'didi ne Prime Minister ko rulaa diya'. uske baad se to jab bhi main 'shows' mein yeh gaana gaati to sarkaari aadmi saamne baiThkar rote the (laughs) taaki Khabar bane ki yeh bhi roye (laughs).
IBN7: aajkal ki jo yuvaa peeDhee ke jo navodit gaayak gaayikaaen hain, unko, jaise ki aap 'recording studio' mein waqt par pahunchti theen, chappal baahar utaarkar gaati theen, yeh aadarsh kyaa aapko lagtaa hai ki aaj ke navodit fankaaron ko maannee chaahiye?
Lata: main bachchon ke maa-baap se yahi kahoongi ki woh sabse pehle unhe yeh seekhaayen ki subah subah neend se uThkar apne maa-baap ko praNaam karen, unse aashirvaad len, unki baaten sune, aisa naheen ki apne maa-baap ko vriddhaashram bhej den. apne maa-baap ka aadar karen to unhe tarakki zaroor milegi, aisa mujhe lagtaa hai.
IBN7: achchha Lataji, 1970s ke shuru ke kuchh saalon mein aapne S D Burman ke liye kai gaane gaaye, unke 'death' se pehle pehle, jaise ki Sharmilee, Abhimaan, vagerah. phir 1971 mein aayi Pakeezah, jiska "chalte chalte yunhi koi" aap pane behatareen geeton mein shumaar karti hain. kya yeh sach hai?
Lata: bilkul karti hoon, aur sirf "chalte chalte" hi naheen, "Thaare rahiyo", phir "inhi logon ne", "mausam hai aashiqaana", yeh sabhi gaane mujhe bahut pasand hai, saare gaane 'hit' huye the.
IBN7: kyaa aapko gaate waqt pataa tha ki yeh gaane itne kaamyaab rahenge?
Lata: naheen, mujhe waaqai maaloom naheen tha. kyunki ek to 'picture' bahut 'late' banee, pataa hi naheen chal raha tha ki banegi bhi ya naheen, 'picture' naheen banegi to gaane bhi 'release' naheen honge, lekin film chalee, gaane bhi 'super-hit' huye.
IBN7: didi, aap apni sabhi filmen dekhti hain?
Lata: naheen, sabhi to naheen dekhti.
IBN7: sabhi dekhne laayak bhi naheen hai.
Lata: (laughs loudly)
IBN7: Lataji, chunki ham 1970s ki baat kar rahe hain, to main apna ek 'personal favourite' yahaan par aap sabko dikhaana aur sunwaana chaahoonga, film Aandhi ka gaana, 'music director' R D Burman.
IBN7: bahut hi Khoobsoorat gaana hai yeh.
Lata: mujhe bhi yeh gaana bahut achchha lagtaa hai, bahut se 'shows' mein main yeh gaana gaati thi.
IBN7: aapne S D Burman ke saath bhi kaam kiya aur unke beTe R D Burman ke saath bhi. in dono mein se kinke gaane zyaada 'challenging' hote the?
Lata: 'challenging' gaane dono ne hi deeye. dono ka 'style' alag tha, dono mein alag baat thi, nazar alag thi. Burman daada ke geeton mein Indian 'music' zyaada hotaa tha, aur P D Burman thoDaa baahar ka sangeet laate the, lekin mere liye woh alag hi tarah ka gaana banaate the aur mujhe bahut achchha lagtaa tha unhe gaane mein.
IBN7: 80s mein aapne aise kai 'music directors' ke saath kaam kiya jo puraane 'music directors' ke beTe the, jaise ki R D Burman, Rajesh Roshan, Ananad Milind, jo Chitraguptji ke beTe the, Anu Malik, jo Sardar Malikji ke beTe the. to kyaa aap 'sentimental' hokar in 'composers' ke liye kaam karti theen ki unke pitaaji ke saath kai 'sentiments' juDe huye the isliye?
Lata: 'sentiments' to the hi, woh jab jab bulaate the main jaati thi, main chaahti hoon ki in sabka achchha ho, naam ho, main kahin kahin 'suggestions' bhi deti thi ki yeh aisa achchha lagegaa.
IBN7: Raam Laxman ke saath aapne kai filmon mein kaam kiya. Khaas taur se Maine Pyar Kiya film ka ek gaana jo bahut 'hit' huya tha, uski ek jhalak ham aapko yahaan dikhaana chaahenge.
IBN7: yeh bhi bahut Khoobsoorat gaana tha.
Lata: jee haan, bahut achche gaane the, 'sweet' gaane the, mere Khayaal se yeh mera Ram Laxman ke liye pehla gaana tha, mujhe Theek se yaad naheen, phir bahut saare gaane maine gaaye unke liye, dono filmen bahut chalee.
IBN7: Maine Pyar Kiya aur Hum Aapke Hain Koun?
Lata: jee haan.
IBN7: phir 90s ke aate aate aapne sirf apne doston ke liye, bhaai bandhuyon ke liye gaane gaaye. jaise ki Yash Chopra ke liye Lamhe, Darr, Dilwale Dulhaniya Le Jaayenge, unke sabhi filmon mein aapne gaaye.
Lata: jee haan
IBN7: unko aap naa naheen keh sakteen?
Lata: naheen, main unhe naa naheen kar sakti, mera unkaa bhaai bahen ka rishtaa hai.
IBN7: jab unke beTe Aditya Chopra pehli baar nirdeshak bane to us film ka jo 'theme song' hai woh aapne gaaya, aayiye is geet ki ek jhalak dekhte hain.
IBN7: is film ke baad log kaafi 'surprised' huye ki aapne Kajol ke liye bhi gaa sakti hain. kyaa kabhi aisa mauka aaya ki jab aapko yeh lagaa ho ki 'yeh geet main naheen gaa sakti'?
Lata: pehle aise bahut saare gaane mere paas aate the, jaise ki Rock N Roll, aur Cabaret 'type' ke gaane, to main keh detee thi ki 'main naheen gaayungi', aisa bahut pehel hotaa tha, phir log mujhe samajh gaye aur dheere dheere aise gaane mere paas aane band ho gaye, woh kisi aur ke paas jaane lage.
IBN7: R D Burman ki aaKhri film 1942 A Love Story mein ek gaana aapne gaaya hai "kuchh na kaho", kyaa aap 'emotional' ho gayi theen isey gaate waqt?
Lata: yeh mere liye bahut dukh ki baat hai. pehle to R D Burman mere paas aaye the ki 'didi, gaana karna hai, isey ham 'background song' ke hisaab se karenge'. maine kahaa 'zaroor gaayungi, lekin main baahar jaa rahi hoon, waapas aakar gaayungi'. to main 'show' karne Dilli chalee gayi ar sochaa ki Dilli se waapas aakar yeh gaana 'record' karoongi. lekin main Dilli gayi aur yahaan peechhe inki 'death' ho gayi. mujhe is baat ka hamesha afsos hai ki main yeh gaana unke saamne naheen gaa paayi, unke jaane ke baad yeh 'record' huya, aur iske bol bhi aise the ki aankhon mein paani aa gaye.
IBN7: 90s ke baad aapne gaana bahut kam kar diya hai. kyaa aap thak gayi hain?
Lata: thak tp naheen gayi, lekin mujhe aisa lagne lagaa tha ki 'music' waisa naheen aa raha hai jaisa honaa chaahiye, abhi bhi waisa hi haal hai. filmon mein 'duet song' ka 'situation' hai aur peechhe achaanak ek dam se 100/50 laDke laDkiyaan 'dance' karne lag jaate hain. aise gaane gaane ka mera man naheen kartaa.
IBN7: aaj ke daur ke 'music directors' mein A R Rahman ke liye aapne kai gaane gaaye hain jaise ki Dil Se, Lagaan, One 2 Ka 4, Rang De Basanti. kaisa lagtaa hai unke saath kaam karne mein?
Lata: bahut alag anubhav raha hai, jab bhi main unke yahaan gayi, woh khud saaz leke baiTh jaate, aur kehte ki 'gaayiye, jo ichchha ho gaaiye', aalaap ho, kuchh bhi ho, aur woh sab kuchh 'record' kar lete the, phir sab ko joD kar, 'edit' karte hain aur bahut achchha gaana ban jaata hai. jab main gaati hoon to samajh mein naheen aata hai ki kaisa gaana banne jaa raha hai.
IBN7: aaiye ab dekhte hain ki A R Rahman aapke liye kya kehte hain.
A R Rahman: As a child, I was not aware who Lata Mangeshkar was, as we were in South. My father had a photo of hers and he had shown it to me. In this way I came to know about her. When I opened my studio, she sang my first song 'lukaa chhupi'. 'If music in India has a shape, the shape would be Lata Mangeshkar!'.
IBN7: A R Rahman ke bahut baDee baat kahee hai ki 'If music in India has a shape, the shape would be Lata Mangeshkar!'
(The audience claps loudly)
IBN7: didi, aap filmon mein naheen gaa rahi hain, lekin Gair filmi gaane bhi kam kar dee hain, aisa kyun?
Lata: maine do saal pehle Marathi mein ek 'album' kiya tha Maitre Jivachi, jo chalaa naheen. shaayad aajkal log Marathi naheen sunte (laughs). haal hi mein maine Gazlon ka ek 'album' kiya hai Saadgee. abhi ek nayaa 'record' banne jaa raha hai jismein Pakistani 'singers' ke 4 gaane aur Hindustan ke 4 gaane rahenge, aisa ek 'record' banaane ki baat chal rahi hai. main 1 yaa 2 geet gaayungi. dekhen kaisa hotaa hai, aapki ichchha shaayad poori ho jaaye!
IBN7: didi, aapne 17 saal ke baad apni 'private album' nikaalee hai Saadgee, itna waqt kyun lagaa, kya aap 'busy' theen?
Lata: 17 saal, waise beech mein 'albums' to bane hain. Ghalib, phir Jagjit Singh ke saath Sajdaa. aajkal Gazal sunna kuchh kam ho gaya hai logon ka, aaj ki yuvaa peeDhee Gazal samajhtee naheen, unhe 'modern' gaane zyaada pasand aate hain. to kya huya ki "saaki", "sharaab laayo", "pyaala de do", is tarah ke bahut aa rahe the (laughs), to main sochaa ki kuchh alag karna hai. phir beech mein Ataji ka 'album' kiya. bahut din ho gaye the Gazal keeye huye, isliye sochaa ki Gazal par ek 'album' kiya jaaye.
IBN7: aur naam bhi kyaa rakhaa, Saadgee?
Lata: "S" mere liye 'lucky' hai, pehle Shraddhanjali, jo kaafi chalee, phir Sajdaa, woh bhi chalee, aur ab Saadgee.
IBN7: to chaliye isi Saadgee ke ek Gazal ki jhalak dekh lete hain.
IBN7: aisa bahut kam log jaante hain bhajan, Gazal aur Hindi filmi geet gaanewaali Lata Mangeshkar ko 'western music' ka utna hi shauk hai aur Bryan Adams aur Nat King Cole, jaise 'artiste' unke 'favourites' hain.
Lata: jee haan, yeh sach hai, Nat King Cole ke ek ek gaane mere paas hai.
IBN7: aur Beatles?
Lata: jee haan, Beatle bhi.
IBN7: didi, aap ke saath koi bhi 'interview' binaa aapke gaaye geet se Khatam ho hi naheen sakti. main aapse 'request' karta hoon ki aap do
'line' sunaa den aise kisi geet ka jo is 60th 'year of independence' mein bhi 'appropriate' ho.
Lata: bas do 'line' hi gaayungi, lekin isi shart par ki 'audience' mere saath gaayegi, (sings) "ae mere watan ke logon, zara aankh mein bhar lo paani....".
IBN7: Lataji, aapka bahut bahut dhanyavaad hamaare is Khaas 'programme' mein aane ke liye.
Lata: aapka bhi bahut bahut dhanyavaad!
THE END
|













