Newsflash
Are you crazy about an artist and would like to highlight their work? Do you feel your life would have been incomplete without listening to some artists and songs? Do some songs make you fall in love with them to such an extent that they never leave you? If your answer to any or all of these questions is yes and would like to contribute to this site, just drop us a message from the site homepage to join us.
|
| Main Apne Zamaane Ka Mohd Rafi Tha |
|
|
|
| Written by Gajendra |
|
Source :
Rajani Kumar Pandya Hindi film magazine "MADHURI" (approx. 1985) "MAIN APNE ZAMANE KA MOHAMMED RAFI THA" 'Paan ki gilauri jamao yaar!' 'Nahi bhai, meri paan khane ki aadat kaha ?' 'Arey aadat daalo yaar, kabhi kabhi to khaya karo.' 'Nahi yaar, isse gaane mein takleef hoti hain, phir kyo khaaye ? Gaana hi to hamari rozi roti hain!' 'To meri rozi roti kya ghaas kaatna hain ? Lo...' Hafiz Khan ne Ghulam Mustafa ki aur pyar se paan ka beeda badhaya. 'Doston ka hath thukraya nahi karte...' Aakhir Ghulam Mustafa ne paan ka beeda Hafiz Khan ke haath se lekar muh mein rakh liya; khair, aaj kaha recording thi ? Aur phir dosti ki baat hain, na nahi kah sakte. Muh mein rakhe pan ka ras gale mein aane laga. Tabhi mahsoos huwa jaise paan mein kuchh ajeeb swaad aa raha hain, aisa kyoo ? Unhone jaldi se thookdaani kheech kar paan thook daala. Hafiz Khan ne poochha, 'Arey, kya huwa yaar ? Thook kyoo diya ?' 'Kuchh nahi' G.M. bole, 'Paan mein shayad tambaku aa gayi thi.' SAAZISH YA ITTEFAQUE ?? Hafiz Khan kuchh bole nahi. Unka chehra gambhir ho gaya. Thodi der mein wah uth kar chale gaye. Unke jaane ke baad G.M. ne thookdaani ko utha kar apni motor mein rakh diya aur Driver se kah kar gaadi ko Fort ki ek laboratory ke paas le chalne ko kaha. Waha unhone thooke gaye pan ka muaaina karwaya to we hairaan rah gaye. Kitna bada haadsa tal gaya, Ya Allah, agar paan thuk na diya hota to gale par hamesha ke liye taala lag jaata. Paan mein kuchh milaya gaya tha. Wo agar gale mein chala jaata to gala hamesha ke liye seal ho jaata. Hafiz Khan kya baar baar isliye paan khilaane ki zid kar rahe they ?? G.M.Durrani ke saath mukaable mein wah is had tak utar aaye ?? 1941 mein ghati aur un dino ke akhbaro mein chhape is waakye ka zikra jab 69 baras ke G.M.Durrani se kiya to unhone ek teekhe ehsaas ke saath muh ghuma liya. Phir bole, "Nahi Nahi, main kisi ka naam le kar ab usey badnaam nahi karna chahta, lekin ha, yah haadsa huwa zaroor tha ! Aur wah aadmi bhi pandrah satrah saal pahle jannatnasheen ho gaya. Khuda uski rooh ko kaayam jannat bakshe." Us bhale aadmi ne chahe naam nahi bataya, lekin hamare man ne baat ki thah pa li. Pandrah saal pahle jo guzar gaye the, we the shahad jharti aawaz ke maalik Hafiz Khan urf Khan Mastana. Unke paas kaafi flats they, lekin 1972 ke March mein jab unki maut hui to paas mein phooti kaudi tak na nikli. Sharab, gaanja aur charas mein we aise kho gaye ki aakhirkar lakwe ke shikaar ho gaye. Aaj unka ek ladka hain, jo unki Mahim waali kholi mein hi rahta hain. Use bhi shayad lakwa maar gaya hain. "Wah mera dost tha" Durrani bole. "Uska nasha chhudane ke liye maine lagataar kosish ki, par nakaam raha. Mera makaan bhi us waqt Mahim mein hi tha. Unki maut se aadhe paune ghante pahle main waha se guzar raha tha. Unhone mujhe aawaaz de kar bulaya 'Durrani Bhai, aana to ! Tumse ek ikraar karna hain.' Lekin main jaldi mein tha. 'Abhi aata hu', kah kar nikal gaya. Doosre din sabere jaane ki soch hi raha tha, tabhi unke inteqaal ka samachar mila. Thanks to Irfan for sharing it on Hamaraforums many years back.
|
Artists













